About Us
HI, I am Surjeet Verma. Takriban 2018 me, me kuch bhi nahi tha mujhe nahi pata tha ki mujhe kya karna hai, but aaj mujhe sab pata hai ki mujhe kya banna hai or kese. Padhiye meri jindgi ki kitab ki kese mene apne life ko change kiya.
Surjeet Verma
(Digital Surjeet)
Hello,
Mera naam Surjeet Verma hai or me Delhi me rehta hu.
Me Digital Marketing ki Services, Consultancy, or Education provide Karata hu.
Or me 1 Million people ko digital marketing ke bare me educate Karna chahata hu Taki wo log Passive Income generate kar saken ya fir kisi bhi business ko grow kar saken.
Aap is page pe ayen hai to apko mere baaren me or pata hona chaiye to chaliye me apne bare me apko or batata hun.
Aapko mere bare me kya kya pata chalega uska ye ek Tabel Chart hai.
- Surjeet Verma Kitne Pese Kamate hai?
- Surjeet Verma Ke Paas abhi Pese Kamane ke kitne tarike hai?
- Surjeet Verma ko Digital Marketing ke bare kese pata chala or kese aaj wo itna pese kama pate hai
———————————-
Surjeet Verma Kitne Pese Kamate hai?
To aaj me lakho rupye mahine ke kamata hu jisko aap mera passive income bol sakte hai Ya meri salary bol sakte hai.
Ab mene yanha 2 baar passive income ke bare me jikar kiya. Kuch logon ko to pata hi hoga passive income ke baren me lekin jin logon ko Passive Income ke bare me nahi pata hai unke liye me niche 2 line likhunga.
Income kya hota hai?
Har kisi ke do inocme ke madhyam/Tarike hote hai jiske bare me hame nahi pata hota hai.
1 – Active Income
2 – Passive Income
Active income ye hota hai ki jab aap kisi company me, ya factory me, ya dukan me kaam karte hai or apki salary ka date fix hota hai (Aasaan Bhasa me kanhe to apki job) to wo hamara Active Income hota hai. Or jada tak log yahi karte hai. Me bhi pehle yahi karta tha.
Ab me apko passive income ke bare me batata hu.
Passive income wo hote hai jisse ki apki salary ke alwaa kuch or tarike hote hai pese kamane ke liye.
Passive Income ke examples: Apni property ko kiraye pe dekar, online course bechkar, Affiliate marketing karke, Google Adsense, Investment karke, books & ebooks selling, LIC Agent Bankar, YouTube Pe video Banakar, or bhi kai sare tarike hote hai but depand karta hai ki apki skills kitni hai.
Passive Income Multiple hoti hai but Active Income sirf ek.
Surjeet Verma Ke Paas abhi Pese Kamane ke kitne tarike hai?
To agar aap baat karte hai mere pese kamane ki to mere paas jada nahi sirf 7-8 se tarike hai jisse me pese kamata hu.
1 – Digital Marketing ki Services Provide Karke
2 – Online Digital Marketing ki Coaching dekar
3 – Offline Digital Marketing ki Coaching dekar
4 – Ebook Sale karke
5 – YouTube Adsense
6 – Website Paid Guest Posting services
7 – Affiliate Marketing Karke
8 – Website Adsense
To ye to kuch tarike hai jisse me income kar pata hu,
Han,
Ye abhi to kaafi kam hai lekin me abhi apne skills ko or grow kar raha hu taaki me apne passive income ke source ko increase kar paun.
Mujhe Digital Marketing ke bare kese pata chala or kese aaj me itna pese kama pate hai
To yeh janne ke liye apko meri story ko padhna padega. Kyunki tabhi aap mujhme apne aap ko dekh payenge or mujhe apne hi jesa samjhenge or khud ko is layak karenge ki aap khud bhi mere jese ban payen.
To yeh journey suru hoti mere school life se – kyunki wanhi se ham sab me thoda bahut dimak aana shuru hota hai.
To jab me 8th class me tha to meri ek girlfriend thi usse mene saadi ki 2017 or jab mene saadi ki tab meri age 21 saal ki thi aaj meri 2 doughtrs hai.
Mene pese kamana to shuru se hi chaalu kar diya tha matlab ki 8th class ke baad se (agar aap year ki baat karen to 2010) but mera koi goal nahi tha or jab mujhe time milta ya jab school ki chuttiya padti to me kuch bhi kaam kar leta tha.
2010 se lekar March 2018 tak mene bahut sari esi job kari jisne meri life me kaafi changes aaye.
Ab in sab job ki wajha se mere life me kya kya chnages aye wo me apko abhi niche btaunga usse pehle aap ye jaan lijiye ki mene kya kya kaam kiya hai 2010 se lekar March 2018 tak.
To sabse pehle mene carpentar ka kaam kiya jise aaj ke time par interior work kehte hai.
Fir mene event-related work Kiya like – water, DJ operator, food serving, camera helper & or bhi kaafi kuch. Fir tabhi mene Honey Singh & High Heels song ki team ko dekha or ye mere life me first time huya tha jab mene kisi actor ko samne se dekha tha.
Ye sab karte huye mene 2014 me 12 paas kar liya fir me job dundh raha tha.
Meri english itni achi nahi thi or mujhe pata bhi nahi tha ki mujhe aage kya karna hai or khub sara pese kese kamana hai.
Jab mene 12th paas kiya to me apne dost ke sath ek Pizza company me kaam karne laga us pizza company ka naam tha Chicago Pizza.
Fir yanha mene kuch time tak kaam kiya tabhi ek din mere manager ne mujhe ek badi comapny ke bare me bataya ki yanha par job hai agar jana hai to chale jao or us company ka naam the Pizza Hut.
Me yanha gaya or manager se mila to unhone bola apki 2 din ki traning hogi tab aap join kar sakte ho mene ok bol diya.
Fir mene kuch time yanha bhi kaaam kiya – yanha kaam karne ke baad mene kuch pese jama kiya or fir hamne apne ghar ki pehli Motor Bike li.
Or me Pizza Hut se Job Chhod chuka tha or ab mere paas Bike bhi thi to ab mujhe jada pese wale job chaiye tha kyunki abhi tak jo mujhe salary mil rahi thi wo 9000 tak thi.
Ab mujhe Pizza Hut se jada pese wali job chaiye tha.
Fir Mene apne dusre dost se contact kiya jo ek badi company me delivery ka kaam kar raha tha or salary bhi thodi jada thi or wo jada salary thi 12000 or mera dost jisme kaam kar raha tha us company ka naam tha BlueDart.
Yanha hame 12000 salary or Petrol ke pese extra milte the kyunki ham apni bike se delivery work karte the.
Fir mene BlueDart se job chhod di or yanha se job chodhne ke baaad mene join kiya Dominos Pizza. Yanha mene job isliye join kiya kyunki yanha mujhe apni bike se delivery nahi karni padti thi. yanha dominos wale apne taraf se bike dete the or petrol bhi.
Jab yanha mene kaam kiya tho pehel 1 saal mene Delivery ka kaam kiya fir mera promotion huya or ab me cash counter pe kaam karne laga – yanha me customer se order leta tha or unhe extra lene kiye liye approach karta tha. Fir unhe me order serve bhi karta tha unke tabel par.
But yanha ek issue the ki jab koi rush day hota tha like – koi festival, Sunday, Saturday & heavy discount day tab mere cash counter me job order ka hisab banta tha usme pese kam hone lage the Mujhe nahi pata kyun.
Or mere manager bolte the ye apko pay karna hoga.
Ab me 2018 me aa chuka tha or 2017 me meri shaddi bhi ho chuki thi or aap sabko me ye batan bhul gaya ki ye sab jitne b mene kaam kiya hai inme time jada dena padta tha or wo bhi night me kyunki din me ladkiya kaam karti thi or evening me ladke. Or esa kai baar huya hai ki me subha ghar aata tha.
Yanha mene kaafi sari chije sikhi, jesa ki:
- Log se Kese baat karte hai
- unko great kese karte hai
- Stor ki sale kese badhate hai
- Upsell kese karte hai
- Gussa kese khatam karte hai
- Clinet ko happy kese rakhte hai
- kisi se bhi baat kese karte hai, isis tarah ki kai sari chije mene sikhi hai alag alag feild me work karke.
2018 hi wo saal hai jab mene Digital Marketing ki Journey shuru ki.
To mene apni Journey ka suruat Jio ki free service se ki. Wese to jio 2016 me launh ho gaya tha but mene 2017 ke end of the year me liya tha kyunki pehle bahut line lagani padti thi.
Ab hamare paas internet to hota tha but aaj 2022 jis tarike se ham internet ka use karte hai us tarike ke us time 2017 me nahi karte the
Fir ek din me youtube pe video dekh raha tha tabhi kisi ki hamne video dekhi or wo video digital marketing ke bare me thi or wo ek ad thi jo mene dekha tha.
Mene us video ke bare me apne dost se baat kiya to usne bola ki bhai ye digital marketing ka course ke bare me bata raha hai or is course ko karne ke baad hame ek acchi salary wali job milegi or hamari english acchi hui to ham India se bahar bhi ja sakte hai kaam karne. Janha ham har mahine ke lakho rupye kama payenge.
Me apne dost ke kehne pe me kai sari institute me gaya fees pata karne.
Mene sabhi institute ki fees pata kiya or demo liya but jab mene un sabhi institute ka bare me apne dost ko bataya to usne mera mobile number ek institute me diya (Jiska naam tha Digiperform) or wanha se ek ladki ka call aya or boli ki aap ek demo lene aa jao or me apko bata deti hu DM course ke bare me.
Me wanha gaya wanha ek mast si ladki thi jisne meri counsling kari or mujhe Digital marketing ke bare me or bataya but unki fees kaafi jada thi baaki institute se, Baki institute ki fess 30000 tak bu inki fees thi 70000.
Mene apne dost ko bataya fees ke baren me to usne bola bhai koi baat nahi jada hai to kya huya ham course kar lete hai
Tab mene usse bola bhai hamare paas pese to hai hi nahi to usne bola bhai loan bhi karti hai ye company, ham loan se bhar denge.
Mene dost ne mujhse bola ki bhai Course karne ke baad hamari 18000 ki job lagegi to ham usme se 7000 ka loan bhar denge.
Fir hamne loan liya 60000 ka or 10000 cash diya or hamne course start kar diya. Course me kaafi saari chije esi this jo hame nahi padhai gayi thi.
Hamare course ki total duration sirf 3-month ki thi or usme se har week me 4 days class hoti thi wo bhi 2 hourse ki sirf.
Hame Digital Marketing ke bare me jada gyan to tha nahi to wo apne marji se padhate the or module khatam kar dete.
Hame task de dete the. Ham use karen ya nahi ynhe unhe ghanta nahi fark padta tha.
Hamne apna course khatam kiya or unke diye huye mail par ham interview dene lage
Jjinki English acchi thi unki to 20000-25000 ki job lag gai but hamari nahi lagi.
To mere dost ne unse ladai kari kyunki uski english acchi thi but fir bhi use job nahi mili thi.
Uska institue ke sath ladai karne ka benfits huya or Digiperform Institute Company ne use job de diya but mujhe abhi bhi job nahi mil rahi thi kyunki meri english jada sahi nahi thi or un logo ne hame sahi se kuch sikhaya bhi nahi tha me interview clear nahi kar pa raha tha.
Jinki Job lagi thi wo to hamaree course se alag thi kisi ko content writer ki job mili to kisi ko amazon, flipkart par product listing ka kaam mila.
Mere dost ko Digiperform me job to mili but wo kaafi door thi & usi week mera bhi ek Gurgaon ki company me selection ho gaya as an intern (Because of lack of knowledge).
Fir mene 6 mahine Internship kiya RS. 6000 me or yanhi se mene sikhna suru kar diya. Yanha me SEO karta tha, mene 2-3 Project pe kaam kiya, jese ki real estate & Digital Marketing jese keywords ko rank karwaya.
Fir mujhme kuch confidene aya jab me keywords ko rank karane laga.
Isi tarah me job change karta raha hu sikhta raha fir mene socha ki kya me ese hi job karta rahunga ya kabhi achi jindgi bhi ji paunga ya nahi.
Ab jab me Digital Marketing ke feild me aa chuka tha to mera goal bhi clear ho raha tha or wo ye the ki mujhe or koi feild me kaam nahi karna hai.
Ab me apne is career ko expand karne laga or alag alag feild se kese income generate karte hai wo mene sikha or apply kiya (dosto ek baat aapko bata du – ki agar aap apni learning rok dete hai to samjh lo aapka kuch nahi ho sakta hai or agar sikhte ho to use apply bhi karna sikhane ka 50% hissa hota hai – to aagar aap kuch sikh rahe hai to use implimnet jarur kariye).
Agar ek short me bataun to takriban 4 saal mene bina goal ke jindgi ji hai or 4 saal goal ke sath or dono me ye difference hai ki bina goal ke me sirf 10-12 Hajar hi kama pa raha tha or goal clear hone ke baad lakho.
Ye sab job karte karte mene kai sari chije sikhi digital marketing or personal life se realted. Logon se baat karna or unhe happy rakhna mene digital marketing se pehle sikha.
Or digital marketing se mene apne career ko grow kiya jisme mene kai sari digital activty sikhi.
Or dosto mere life me mera koi mentor nahi hai isliye aaj me itne pcihe hu. Mujhe kai sari chije sikhne me kaafi samya lagta tha or kabhi kabhi to reuslt bhi nahi milta tha but mene haar nahi maani or kaam karte gaya or saflta milti gai or aaj ka wo din hai jab me apne youtube channel se free me digital marketing sikhata hu.
Ap ye msg sirf apke liye hai.
To agar aap log bhi kuch karna chaahte ho part time me ya full time kaam karke to me apki madad kar sakta hu.
Yaha par me kuch Digital marketing ki activity ke bare me menton kar raha hu, Jisme me apki madad kar sakta hu, jese ki:-
Search Engine Optimization
Facebook Ads
Google Ads
YouTube Ads
Graphics Designing
Video Editing
Instagram Ads
Linkedin Ads & and more.
Kai log youtube se sikhte hai lekin unhe complete process ye fir one go me youtubers nahi sikhate hai kyunki ye online ki duniya hai yanha har din kuch na kuch aata hi rehta hai – or aap log youtubers se question nahi kar sakte hai. Kyunki wanha aap sirf unhe comment kar sakte hai.
To isliye mene apna 1 digital marketing ka course banaya hai isme me apko sikhata hu ki kese aap digital marketing sikh sakte hai.
Mujhe 4 saal lag gaye ye sab karte karte but apko nahi lagega kyunki yanha par apko ek mentor milega jo aapki puri mada karega apko sikhane ki – apka jab man kare tab aap puch sakte hai.
Or jis tarah se aaj me pese kama raha hu, aane wale kuch maihne me aap bhi isi tarike se pese kama sakte ho.
Isme se kai sare logon ko digital marketing ke bare me to pata hoga lekin kuch logo ko nahi pata hai ki ye sab kese kaam karta hai to aap logo ke liye niche ek button hai jispe likha hai “join now”.
Jab aap uspe click karoge to apko mere ek free digital marketing course ke bare me pata chalge aap abhi use join kijiye or Free me Digital Marketing Kya hai suek bare me sikhiye.
To Free me sikhiye Digital Marketing ke Baare me or kuch question ya sawal hai to aap mujhe msg bhi kar skate hai.
Surjeet Verma se jude rehne ke liye yanha apko mere Social Media ka links mil jayega. Jaiye or abhi follow & subscribe kariye.
Thanks & Regards
Surjeet Kumar Verma (Digital Surjeet)